Prabuddh hai, Shuddh hai,
Uski katha jo Buddh hai...
Uski katha jo Buddh hai...
Har tarah ka thha vilaas,
par nahi bujhti thhi pyaas,
Raaj-bhog pramaad thhe par
manah-shaanti ka thha hraas
par nahi bujhti thhi pyaas,
Raaj-bhog pramaad thhe par
manah-shaanti ka thha hraas
Isi bhogi zindagi mein ek din Gautam chale
Teen drishy dikhey, unhe tab isi ambar ke tale
Teen drishy dikhey, unhe tab isi ambar ke tale
Ek rogi, ek vriddh, ek shav ko dekh ke,
Raja Gautam bhikshu ban, Samaan ho bas chal pade
Raja Gautam bhikshu ban, Samaan ho bas chal pade
Khojte phirte chale uss gyaan ko jo gupt hai
Prabuddh hai, Shuddh hai,
Uski katha jo Buddh hai...
Prabuddh hai, Shuddh hai,
Uski katha jo Buddh hai...
Ek shaakha par latakti zindagi ko thaam ke,
Kee Niranjana paar aur phir baithhe mann mein thhan ke
Kee Niranjana paar aur phir baithhe mann mein thhan ke
Ya toh srishti se pare ki jyoti mujhko dikhegi,
Ya isi Bodhi tale meri ye kaya mitegi
Ya isi Bodhi tale meri ye kaya mitegi
Usi pal, is kshitij mein ek poorn chandr udit hua,
Usi pal, is jeev mein ek poorn Soorya vidit hua
Usi pal, is jeev mein ek poorn Soorya vidit hua
Isi Bodhi ke tale ek Raja Gautam mrit hua,
Aur isi Bodhi tale Prabuddh Buddh-avtarit hua
Aur isi Bodhi tale Prabuddh Buddh-avtarit hua
Upanishad ke saar se inki katha santript hai
Prabuddh hai, Shuddh hai,
Uski katha jo Buddh hai...
Prabuddh hai, Shuddh hai,
Uski katha jo Buddh hai...
Disclaimer: - Isha

No comments:
Post a Comment